Sufi Poetry

Urdu Sufi Poetry


Garmi sardi ka ehsaas badan per rehne do

Sufi Poetry

Garmi sardi ka ehsaas badan per rehne do,
Apne mann ko tann ki sab takleefain sehne do,
Apne kaanon ko sab shor sharaba sun’ne do,
Apni zubaan ko saari sachi batain kehne do,
Apni aankh ke chashme mein sab manzar behne do,
Palkon ki is raah ke sarey kaantey chun’ne do,
Apni zaat ke pathreeley aur banjar-pan mein Saad,
Umeedon ka garam aur meetha chashma behne do..



Maazi ka insaan, suna hai,

Sufi Poetry

Maazi ka insaan, suna hai,
Gherat se bhi mar jata tha..
(maazi;past)



Beth jata hoon khaak per aksar

Sufi Poetry

Beth jata hoon khaak per aksar,
Apni aukaat achi lagti hai..



Yahan tehzeeb bikti hai..

Sufi Poetry

Yahan tehzeeb bikti hai, Yahan farmaan bikte hain,
Zara tum daam tou badlo, Yahan imaan bikte hain..



Bikhar gaya hai kuch is tarah aadmi

Sufi Poetry

Bikhar gaya hai kuch is tarah aadmi ka wajood,
Har aik shakhzz koi saaneha lage hai mujhe..
(Saaneha:Take place;occur;happening)



Jab se insaan ki azmat ko zawaal aya hai

Sufi Poetry

Jab se insaan ki azmat ko zawaal aya hai,
Hai har ik “but” ko yeh daawa ke khuda ho jese…



Manzilo’n ki khabar Khuda jane..

Sufi Poetry

Manzilo’n ki khabar Khuda jane,
Ishq hai rahnuma Faqeero’n ka…



Tooty dilon ko jordna maqsood zeesst hy

Sufi Poetry

Tooty dilon ko jordna maqsood zeesst hy
mai kar raha ho muslik-e-Pighambaron ki baat



Takhleeq-q kainat ke dilchasp juram par

Sufi Poetry

Takhleeq-q  kainat ke dilchasp juram par
hansta ho ga app bhi yazdan kabhi kabhi




Phattar ki mortain nazar ati hy char-so

Sufi Poetry

Phattar ki mortain nazar ati hy char-so
ya rab tery jaha ko ye kia dafataan howa hy




Boland hato may zangeer dal dieye thy

Sufi Poetry

Boland hato may zangeer dal dieye thy
ajeeb rasam chali hy dua na mangny ki



Bhala dieye hy tery gham dukh tery zamany ke

Sufi Poetry

Bhala dieye hy tery gham dukh tery zamany ke
khuda nay tha to phathar ki mortain thi bohat



Baat ka rukh badal dety ho chehra dekh kar

Sufi Poetry

Baat ka rukh badal dety ho chehra dekh kar
hum tu sedhi baaat kehty hy khafa koi bhi ho



Shukar adaa kar Khuda ka

Sufi Poetry

Naraaz kyon hota hai sahab, Apne ayeb sun kar,
Shukar adaa kar Khuda ka, Teri islaah karta hai koi…
(Ayeb:Weaknesses)



Janat se chala aya tha dunya main

Sufi Poetry

Behak kar bagh-e-janat se chala aya tha dunya main,
Suna hai bad mehshar phir ussi janat ki dawat hai,
Chala to jaon janat main magar yeh soch kar chup hon,
Main adam zad hon mujhko behak jane ki adat hai….!!

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Sufi Poetry.

Advertisement

 
Top