Dard Bhari Shayari

Dard Bhari Shayari is enriched with unhappiness, sorrowness and deep distress. People read Dard Bhari Shayari when they are hugely upset. This unhappiness can be of any kind, reading Dard bhari shayari makes us all feel a little better.

Khud se bhi torr chuka hoon mein taluq apna,

Khud se bhi torr chuka hoon mein taluq apna,
Ab meri raah mein haayel koi deewar nahi..

Hamara hi Qusoor Nikley Gaa

Usi Ka Shehr, Wohi Muddaee, Wohi Munsif,
Hamen Yaqeen Tha Hamara hi Qusoor Nikley Gaa.

Hum Tou Wo Hain Jin Ko Khud Apni.

Hum Tou Wo Hain Jin Ko Khud Apni,
Wehshaton Ka Sabab Nahee Maloom..!

Khwaab Aankhon Mein Chubho Ker Dekhoon..

Khwaab Aankhon Mein Chubho Ker Dekhoon,
Kaash Main Bhi Kabhi So Ker Dekhoon.
Shayed Ubhre Teri Tasveer Kaheen,
Main Teri Yaad Mein Ro Ker Dekhoon..

Jaatay Howay Yaqeen Ki Daulat Wo Le Gaya

Jaatay Howay Yaqeen Ki Daulat Wo Le Gaya,
Ik Wehem Aur Gumaan Mere Paas Reh Gaya.

Tark-e-wafa

guzre dinon ki yad barsati ghata lage
guzrun jo us gali se to thandi hawa lage
mehman banke aye kisi roz agar wo shakhs
us roz bin sajaye mera ghar saja lage
main is liye manata nahin wasl ki khushi
mere raqib ki na mujhe baddua lage
wo qahat dosti ka para hai k in dinon
jo muskura k bat kare ashna lage
tark-e-wafa k bad ye us ki ada ‘Qateel’
mujhko sataye koi to us ko bura lage

Wo Ek Mouka To Mujhko De Baat Karne Ka

Wo Ek Mouka To Mujhko Dei Baat Karne Ka Yaaron,
To Unhe Bhi Rula Dunga, Unhi Ke Sitam Suna Suna Kar..

Shidat say tera intazar hai..

Aye maut tu aa ja ke shidat say tera intazar hai,
Ke zindagi jeenay ko ab hamara dil nahi karta..

Cheeni gayi hum se hamari hansi..

Kiss jurm mein cheeni gayi hum se hamari hansi,
Hum ne tou kisi ka dil dukhaya bhi nahin tha..

Dhoondtay Kia Ho In Aankhon Mein Kahani Meri

Dhoondtay Kia Ho In Aankhon Mein Kahani Meri,
Khud Mein Guum Rehna Tou Aadat Hai Puraani Meri..

Ishq Janat Main Tari Koi Jagah Nahi

Ay Ishq Janat Main Tari Koi Jagah Nahi,
Qaatil Hy Tu Bary Masoom Logon Ka…

Khud Ko Khonay Ka Bhee Pata Na Chala..

Khud Ko Khonay Ka Bhee Pata Na Chala,
Osko Paanay Ki Intehaa Kardi..

Mohabbat Dekhi Main Ne Zamane Bhar Ke Logon Ki

Mohabbat Dekhi Main Ne Zamane Bhar Ke Logon Ki GHALiB,
jahan Kuch “Daam” Zyada Ho Wahan insan Biktey Hain!!!

Ab is se barh kar kya ho viraasat fakeer ki..

Ab is se barh kar kya ho viraasat fakeer ki,
Bache ko apni bheek ki peyaali to de gaya…
fakeer

Ye wafa ka silaa hai

Ye wafa ka silaa hai to koi baat nahi,
Ye dard apno ne diya hai to koi baat nahi,
Yehi bahut hai ki vo dekh rahe hai kinare se,
Hum dub rahe hai to koi baat nahi…..

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Dard Bhari Shayari.

Advertisement

 
Top